ho ke majbur aah karta hun
ho ke majbūr aah kartā huuñ
thaam kar dil gunāh kartā huuñ
abr-e-rahmat umañDtā aatā hai
jab ḳhayāl-e-gunāh kartā huuñ
mere kis kaam kī hai ye iksīr
ḳhāk-e-dil vaqf-e-rāh kartā huuñ
dil se ḳhauf-e-jazā nahīñ miTtā
Darte Darte gunāh kartā huuñ
dil meñ hote ho tum to apne par
ġhair ke ishtibāh kartā huuñ
tū na dekhe ye dekhnā merā
tujh se chhup kar gunāh kartā huuñ
banda-e-ishq hai tirā 'beḳhud'
tujh ko yārab gavāh kartā huuñ
ho ke majbur aah karta hun
tham kar dil gunah karta hun
abr-e-rahmat umanDta aata hai
jab KHayal-e-gunah karta hun
mere kis kaam ki hai ye iksir
KHak-e-dil waqf-e-rah karta hun
dil se KHauf-e-jaza nahin miTta
Darte Darte gunah karta hun
dil mein hote ho tum to apne par
ghair ke ishtibah karta hun
tu na dekhe ye dekhna mera
tujh se chhup kar gunah karta hun
banda-e-ishq hai tera 'beKHud'
tujh ko yarab gawah karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.