ho ke mismar girne wali hai
ho ke mismar girne wali hai
Shashank Singh Thakur Saahil
MORE BYShashank Singh Thakur Saahil
ho ke mismār girne vaalī hai
dil kī dīvār girne vaalī hai
jhurriyāñ paḌ rahī haiñ chehre par
dil kī sarkār girne vaalī hai
ab to aa jaao ke mirī ye aañkh
ho ke bīmār girne vaalī hai
ham mohabbat meñ jhuk ga.e yā'nī
sar se dastār girne vaalī hai
dil ke ziine se yād-e-jānāñ phir
ban ke lāchār girne vaalī hai
ik parī-rū hamārī bāñhoñ meñ
karke singār girne vaalī hai
ab kabūtar yahāñ nahīñ aate
ab ye mīnār girne vaalī hai
ek tajallī tumhāre 'sāhil' par
isī itvār girne vaalī hai
ho ke mismar girne wali hai
dil ki diwar girne wali hai
jhurriyan paD rahi hain chehre par
dil ki sarkar girne wali hai
ab to aa jao ke meri ye aankh
ho ke bimar girne wali hai
hum mohabbat mein jhuk gae ya'ni
sar se dastar girne wali hai
dil ke zine se yaad-e-jaanan phir
ban ke lachaar girne wali hai
ek pari-ru hamari banhon mein
karke singar girne wali hai
ab kabutar yahan nahin aate
ab ye minar girne wali hai
ek tajalli tumhaare 'sahil' par
isi itwar girne wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.