ho KHak taskin ki maut ke baad ek nai zindagi milegi
ho KHak taskin ki maut ke baad ek nai zindagi milegi
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
ho ḳhaak taskīñ ki maut ke ba.ad ik na.ī zindagī milegī
abhī se goyā ye farz kar luuñ ki phir musībat vahī milegī
maiñ aql kī raah par na chaltā agar mujhe is kā ilm hotā
ki sub.h-e-har-āgahī se paivasta shām-e-nā-āgahī milegī
riyāz-e-ālam meñ tujh ko ai dil jo ārzū-e-shaguftagī hai
kalī ko jaise pas-e-shaguftan milī hai pazhmurdagī milegī
ye nau-ba-nau zulmateñ ki jis meñ bhaTaktī phirtī hai ādamiyyat
chhaTeñgī kab ai ḳhudā-e-bartar kab is ko phir raushnī milegī
hujūm-e-afkār shām-e-ġhurbat bujhā huā dil malāl-e-hijrat
kinār-e-jamunā ho laakh dilkash 'tilak' hameñ kyā ḳhushī milegī
ho KHak taskin ki maut ke baad ek nai zindagi milegi
abhi se goya ye farz kar lun ki phir musibat wahi milegi
main aql ki rah par na chalta agar mujhe is ka ilm hota
ki subh-e-har-agahi se paiwasta sham-e-na-agahi milegi
riyaz-e-alam mein tujh ko ai dil jo aarzu-e-shaguftagi hai
kali ko jaise pas-e-shaguftan mili hai pazhmurdagi milegi
ye nau-ba-nau zulmaten ki jis mein bhaTakti phirti hai aadamiyyat
chhaTengi kab ai KHuda-e-bartar kab is ko phir raushni milegi
hujum-e-afkar sham-e-ghurbat bujha hua dil malal-e-hijrat
kinar-e-jamuna ho lakh dilkash 'tilak' hamein kya KHushi milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.