ho KHushi mein teri KHushi meri
ho ḳhushī meñ tirī ḳhushī merī
kaash aisī ho zindagī merī
maqsad-e-zindagī samajhtā huuñ
kaam aa.ī hai be-sarī merī
chhīn kar aap ne mirī ḳhushiyāñ
kar diiñ bekār zindagī merī
mujh ko ehsās ho gunāhoñ kā
kar do bedār āgahī merī
'faiz' kā dil na toḌiye sāhab
baḳhsh diije mujhe ḳhushī merī
ho KHushi mein teri KHushi meri
kash aisi ho zindagi meri
maqsad-e-zindagi samajhta hun
kaam aai hai be-sari meri
chhin kar aap ne meri KHushiyan
kar din bekar zindagi meri
mujh ko ehsas ho gunahon ka
kar do bedar aagahi meri
'faiz' ka dil na toDiye sahab
baKHsh dije mujhe KHushi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.