ho na iqrar to inkar pe Tale mujhko
ho na iqrār to inkār pe Taale mujh ko
us kā chup rahnā kahīñ maar na Daale mujh ko
kuchh guhar TuuT ke qīmat nahīñ khote apnī
maiñ agar TuuT ke bikhrūñ to uThā le mujh ko
maiñ anā chhoḌ ke aayā huuñ tire darvāze
hai jahāñ tak tirī had itnā jhukā le mujh ko
saañs ke pahle kahīñ TuuT na jaa.e ummīd
ab koī va.ada-e-fardā pe na Taale mujh ko
tere me.aar pai utrā huuñ na utrūñgā kharā
maiñ burā hī sahī ab tū hī nibhā le mujh ko
maiñ mohabbat kā rifāqat kā bharam rakhtā huuñ
jo mirā ho na sake apnā banā le mujh ko
ek ma.amūlī diyā huuñ maiñ sar-e-rāh-guzār
raah meñ jis kī añdherā ho jalā le mujh ko
maiñ ne rahbar se kahā ūñchā shajar ho tum bhī
bas usī din se paḌe jaan ke laale mujh ko
ho na iqrar to inkar pe Tale mujh ko
us ka chup rahna kahin mar na Dale mujh ko
kuchh guhar TuT ke qimat nahin khote apni
main agar TuT ke bikhrun to uTha le mujh ko
main ana chhoD ke aaya hun tere darwaze
hai jahan tak teri had itna jhuka le mujh ko
sans ke pahle kahin TuT na jae ummid
ab koi wada-e-farda pe na Tale mujh ko
tere mear pai utra hun na utrunga khara
main bura hi sahi ab tu hi nibha le mujh ko
main mohabbat ka rifaqat ka bharam rakhta hun
jo mera ho na sake apna bana le mujh ko
ek mamuli diya hun main sar-e-rah-guzar
rah mein jis ki andhera ho jala le mujh ko
main ne rahbar se kaha uncha shajar ho tum bhi
bas usi din se paDe jaan ke lale mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.