ho na kuchh baat magar shor machae rakhna
ho na kuchh baat magar shor machā.e rakhnā
is tarah auroñ ko hamdard banā.e rakhnā
tum agar chāhte ho sab tumheñ hañs hañs ke mileñ
apnā ġham apne hī siine meñ chhupā.e rakhnā
duur karnā na kabhī jalvoñ ko mere dil se
is chaman ko inhīñ phūloñ se sajā.e rakhnā
is se pur-nūr huā merī tamannā kā diyā
ruḳh-e-raushan se yūñhī parda uThā.e rakhnā
ye hamārā hī kaleja hai ki tere ġham ko
dil kī mānind kaleje se lagā.e rakhnā
ye adā un kī masīhā bhī hai qātil bhī hai
sāmne aa ke nigāhoñ ko jhukā.e rakhnā
tum agar chāhte ho koī tamannā na rahe
haath har ek tamannā se uThā.e rakhnā
dar-e-mahbūb pe har vaqt paḌe rahnā 'jigar'
ya.anī us dar ko dar-e-ka.aba banā.e rakhnā
ho na kuchh baat magar shor machae rakhna
is tarah auron ko hamdard banae rakhna
tum agar chahte ho sab tumhein hans hans ke milen
apna gham apne hi sine mein chhupae rakhna
dur karna na kabhi jalwon ko mere dil se
is chaman ko inhin phulon se sajae rakhna
is se pur-nur hua meri tamanna ka diya
ruKH-e-raushan se yunhi parda uThae rakhna
ye hamara hi kaleja hai ki tere gham ko
dil ki manind kaleje se lagae rakhna
ye ada un ki masiha bhi hai qatil bhi hai
samne aa ke nigahon ko jhukae rakhna
tum agar chahte ho koi tamanna na rahe
hath har ek tamanna se uThae rakhna
dar-e-mahbub pe har waqt paDe rahna 'jigar'
yani us dar ko dar-e-kaba banae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.