ho na mujhse kisi surat bhi mera ghar naraaz
ho na mujh se kisī sūrat bhī mirā ghar nārāz
is liye rahtā huuñ ḳhud se hī maiñ aksar nārāz
kar nahīñ saktā kabhī chaah ke bhī ḳhud ko alag
laakh dariyāoñ se rahtā ho samundar nārāz
bādshāhat ke vahī hote haiñ sachche haqdār
jin se hotā na ho koī bhī qalandar nārāz
merī ā.īna-mizājī hī mirā sab kuchh hai
mujh se hote haiñ to hote raheñ patthar nārāz
un buzurgoñ kī bahut yaad ab aatī hai mujhe
jo bilā-vaj.h bhī ho jaate the mujh par nārāz
jin se hotā hai izāfa mirī bīnā.ī meñ
ab na āñkhoñ se ho aisā koī manzar nārāz
ratjage ho ga.e jis din se muqaddar 'shāhid'
rāt-bhar rahne lagā niiñd se bistar nārāz
ho na mujh se kisi surat bhi mera ghar naraaz
is liye rahta hun KHud se hi main aksar naraaz
kar nahin sakta kabhi chah ke bhi KHud ko alag
lakh dariyaon se rahta ho samundar naraaz
baadshahat ke wahi hote hain sachche haqdar
jin se hota na ho koi bhi qalandar naraaz
meri aaina-mizaji hi mera sab kuchh hai
mujh se hote hain to hote rahen patthar naraaz
un buzurgon ki bahut yaad ab aati hai mujhe
jo bila-wajh bhi ho jate the mujh par naraaz
jin se hota hai izafa meri binai mein
ab na aankhon se ho aisa koi manzar naraaz
ratjage ho gae jis din se muqaddar 'shahid'
raat-bhar rahne laga nind se bistar naraaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.