ho na paenge yaqin to ek guman ho jaenge
ho na pā.eñge yaqīñ to ik gumāñ ho jā.eñge
ye kabhī mat sochnā ham rā.egāñ ho jā.eñge
ham abhī to chup haiñ lekin bolne par aa.e to
jitne bhī ahl-e-zabāñ haiñ be-zabāñ ho jā.eñge
sab se achchhā hai ki apnā raaz ḳhud ham khol deñ
varna sab ke sāmne ik din ayaañ ho jā.eñge
gar yuuñ hī chaltī rahī paiham ḳhayāloñ kī uḌaan
uḌte uḌte ek din ham āsmāñ ho jā.eñge
itnī jaldī to koī bhī mo.ajiza hotā nahīñ
itnī jaldī ham havā meñ gum kahāñ ho jā.eñge
piine vāloñ ke liye to chand pal kā thā sukūn
ḳhauf meñ thī cigaretteñ ab ham dhuāñ ho jā.eñge
ho na paenge yaqin to ek guman ho jaenge
ye kabhi mat sochna hum raegan ho jaenge
hum abhi to chup hain lekin bolne par aae to
jitne bhi ahl-e-zaban hain be-zaban ho jaenge
sab se achchha hai ki apna raaz KHud hum khol den
warna sab ke samne ek din ayan ho jaenge
gar yun hi chalti rahi paiham KHayalon ki uDan
uDte uDte ek din hum aasman ho jaenge
itni jaldi to koi bhi moajiza hota nahin
itni jaldi hum hawa mein gum kahan ho jaenge
pine walon ke liye to chand pal ka tha sukun
KHauf mein thi cigaretten ab hum dhuan ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.