ho na ruswa-e-zamana mah-e-kaamil ki tarah
ho na ruswa-e-zamana mah-e-kaamil ki tarah
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
ho na rusvā-e-zamāna mah-e-kāmil kī tarah
mere siine meñ raho aa ke mire dil kī tarah
tere darvāze pe ai ġhairat-e-lailā din-rāt
sar paTakte rahe ham parda-e-mahmil kī tarah
is qadar shauq-e-shahādat ne mujhe dauḌāyā
thak ga.e paañv mire bāzū-e-qātil kī tarah
sair nairangī-e-ālam kī nazar aa jaa.e
merī āñkhoñ meñ agar aa ke raho til kī tarah
ik nazar dekh le muñh pher ke o said-afgan
dil taḌaptā hai mirā tā.ir-e-bismil kī tarah
be-tire ai yam-e-ḳhūbī jo lage muñh se sharāb
chhāle paḌ jaa.eñ habāb-e-lab-e-sāhil kī tarah
vahshat-e-dil se ho kyā āshiq-e-gesū ko najāt
jāda-e-dasht lipaTte haiñ salāsil kī tarah
qadr jānoge mohabbat kī tab ai jān-e-jahāñ
tum bhī jab ranj uThāoge mire dil kī tarah
aap khul khele agar mujh se shab-e-vasl to kyā
na khulī dil kī girah uqda-e-mushkil kī tarah
rang laa.e jo mirā ḳhūn-e-tamannā 'vahbī'
dāman-e-hashr bane dāman-e-qātil kī tarah
ho na ruswa-e-zamana mah-e-kaamil ki tarah
mere sine mein raho aa ke mere dil ki tarah
tere darwaze pe ai ghairat-e-laila din-raat
sar paTakte rahe hum parda-e-mahmil ki tarah
is qadar shauq-e-shahadat ne mujhe dauDaya
thak gae panw mere bazu-e-qatil ki tarah
sair nairangi-e-alam ki nazar aa jae
meri aankhon mein agar aa ke raho til ki tarah
ek nazar dekh le munh pher ke o said-afgan
dil taDapta hai mera tair-e-bismil ki tarah
be-tire ai yam-e-KHubi jo lage munh se sharab
chhaale paD jaen habab-e-lab-e-sahil ki tarah
wahshat-e-dil se ho kya aashiq-e-gesu ko najat
jada-e-dasht lipaTte hain salasil ki tarah
qadr jaanoge mohabbat ki tab ai jaan-e-jahan
tum bhi jab ranj uThaoge mere dil ki tarah
aap khul khele agar mujh se shab-e-wasl to kya
na khuli dil ki girah uqda-e-mushkil ki tarah
rang lae jo mera KHun-e-tamanna 'wahbi'
daman-e-hashr bane daman-e-qatil ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.