Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho nawishta ye bhi jaise katib-e-taqdir ka

G R Kanwal

ho nawishta ye bhi jaise katib-e-taqdir ka

G R Kanwal

MORE BYG R Kanwal

    ho navishta ye bhī jaise kātib-e-taqdīr

    kāġhazī hai pairahan har paikar-e-tasvīr

    halqa-e-ahl-e-zabāñ meñ ḳhush huuñ maiñ ye dekh kar

    munfarid lahja hai mere dost taqrīr

    tā-abad samjhe na jis ko ibn-e-ādam dimāġh

    juz koī aisā na ho yā-rab tirī tahrīr

    hai tasavvur paas jis ke sair-e-ālam ke liye

    kyā asar ho us ke paañv par kisī zanjīr

    dūsroñ pagḌiyāñ bhī chāhtā hai chhīn luuñ

    aadmī bhūkā hai kitnā apnī tauqīr

    naam tak aayā nahīñ jin meñ kahīñ farhād

    tazkira hai un kitāboñ meñ bhī jū-e-shīr

    maiñ ne tan raushnī ko kam puujā hai 'kañval'

    maiñ rahā shaidā hamesha ruuh tanvīr

    ho nawishta ye bhi jaise katib-e-taqdir ka

    kaghazi hai pairahan har paikar-e-taswir ka

    halqa-e-ahl-e-zaban mein KHush hun main ye dekh kar

    munfarid lahja hai mere dost ki taqrir ka

    ta-abad samjhe na jis ko ibn-e-adam ka dimagh

    juz koi aisa na ho ya-rab teri tahrir ka

    hai tasawwur pas jis ke sair-e-alam ke liye

    kya asar ho us ke panw par kisi zanjir ka

    dusron ki pagDiyan bhi chahta hai chhin lun

    aadmi bhuka hai kitna apni hi tauqir ka

    nam tak aaya nahin jin mein kahin farhad ka

    tazkira hai un kitabon mein bhi ju-e-shir ka

    main ne tan ki raushni ko kam hi puja hai 'kanwal'

    main raha shaida hamesha ruh ki tanwir ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now