ho nazar aisi ki bas dil ki nigah tak pahunche
ho nazar aisī ki bas dil kī nigāh tak pahuñche
dil meñ utre to kabhī hāl-e-tabāh tak pahuñche
manzileñ un ko milā kartī haiñ āsānī se
tīrgī chhoḌ ke jo mish.al-e-rāh tak pahuñche
ab talak jaisī bhī guzrī hameñ manzūr magar
ab to ban jaa.e kuchh aisī ki nibāh tak pahuñche
jītnā ishq kī baazī koī āsān nahīñ
ain mumkin hai koī husn gavāh tak pahuñche
tishnagī ko mirī e.ajāz atā kar aisā
zer-e-lab pyaas baḌhe aisī ki aah tak pahuñche
ishq-maslak meñ 'sadaf' ek hī dastūr hai bas
zaḳhm-e-dil had se baḌhe aur karāh tak pahuñche
ho nazar aisi ki bas dil ki nigah tak pahunche
dil mein utre to kabhi haal-e-tabah tak pahunche
manzilen un ko mila karti hain aasani se
tirgi chhoD ke jo mishal-e-rah tak pahunche
ab talak jaisi bhi guzri hamein manzur magar
ab to ban jae kuchh aisi ki nibah tak pahunche
jitna ishq ki bazi koi aasan nahin
ain mumkin hai koi husn gawah tak pahunche
tishnagi ko meri eajaz ata kar aisa
zer-e-lab pyas baDhe aisi ki aah tak pahunche
ishq-maslak mein 'sadaf' ek hi dastur hai bas
zaKHm-e-dil had se baDhe aur karah tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.