ho pareshan na koi kashT uTha mere liye
ho pareshāñ na koī kashT uThā mere liye
ye hī behtar hai ki tū duur ho jā mere liye
haa.e is baar bhī dhoka hī rahā mere liye
vo jo palTā to mujhe aisā lagā mere liye
maiñ ne is baat pe āḳhir ko baġhāvat kar dī
kitnī aa saktī hai piñjre meñ havā mere liye
saare pyāse the mire ḳhuun ke lekin pahle
aap andāza kareñ yaar uThā mere liye
maiñ ġhulāmoñ kī tarah aur hai shahzādī tū
apne har ḳhvāb kī qīmat na ghaTā mere liye
maut se baḌh ke tirā hijr mujhe kyā degā
aur tajvīz karo koī sazā mere liye
vo to achchhā huā tab hosh nahīñ thā 'sāhib'
varna maiñ kahtā ki duniyā na banā mere liye
ho pareshan na koi kashT uTha mere liye
ye hi behtar hai ki tu dur ho ja mere liye
hae is bar bhi dhoka hi raha mere liye
wo jo palTa to mujhe aisa laga mere liye
main ne is baat pe aaKHir ko baghawat kar di
kitni aa sakti hai pinjre mein hawa mere liye
sare pyase the mere KHun ke lekin pahle
aap andaza karen yar uTha mere liye
main ghulamon ki tarah aur hai shahzadi tu
apne har KHwab ki qimat na ghaTa mere liye
maut se baDh ke tera hijr mujhe kya dega
aur tajwiz karo koi saza mere liye
wo to achchha hua tab hosh nahin tha 'sahib'
warna main kahta ki duniya na bana mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.