ho pyas salamat mai-e-gulfam bahut hai
ho pyaas salāmat mai-e-gulfām bahut hai
mai-ḳhāna bahut saaqī bahut jaam bahut hai
in tāfta zulfoñ ko pareshāñ na karo tum
ai jān-e-sitam gardish-e-ayyām bahut hai
kyoñ tuur pe mauqūf ho bārān-e-tajallī
is jalva-e-tābāñ ke liye baam bahut hai
ik vo haiñ ki har zulm ravā un ke liye hai
ik aah bharī maiñ ne to kohrām bahut hai
āzādī-e-parvāz pe itrā nahīñ bulbul
gulshan kī fazāoñ meñ abhī daam bahut hai
kuchh soch ke amvāj-e-talātum meñ paḌā huuñ
ye sach hai ki sāhil pe to ārām bahut hai
āsān nahīñ jāda-e-irfān-e-mohabbat
har gaam rah-e-shauq meñ ib.hām bahut hai
kyoñ mujh ko sadā detā hai aflāk se hātif
is anjuman-e-gul meñ abhī kaam bahut hai
mat bech ise misr kā bāzār sajā kar
is yūsuf-e-hastī kā 'sahar' daam bahut hai
ho pyas salamat mai-e-gulfam bahut hai
mai-KHana bahut saqi bahut jam bahut hai
in tafta zulfon ko pareshan na karo tum
ai jaan-e-sitam gardish-e-ayyam bahut hai
kyon tur pe mauquf ho baran-e-tajalli
is jalwa-e-taban ke liye baam bahut hai
ek wo hain ki har zulm rawa un ke liye hai
ek aah bhari main ne to kohram bahut hai
aazadi-e-parwaz pe itra nahin bulbul
gulshan ki fazaon mein abhi dam bahut hai
kuchh soch ke amwaj-e-talatum mein paDa hun
ye sach hai ki sahil pe to aaram bahut hai
aasan nahin jada-e-irfan-e-mohabbat
har gam rah-e-shauq mein ibham bahut hai
kyon mujh ko sada deta hai aflak se hatif
is anjuman-e-gul mein abhi kaam bahut hai
mat bech ise misr ka bazar saja kar
is yusuf-e-hasti ka 'sahar' dam bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.