ho rahzan ki hidayat ki rahbar ke fareb
ho rāhzan kī hidāyat ki rāhbar ke fareb
mirī nigāh ne khaa.e nazar nazar ke fareb
ye but-kade ye kalīsā ye masjideñ ye haram
ye sab fareb haiñ aur ek sañg-e-dar ke fareb
samajh rahe the ki ashkoñ se hogā dil halkā
na jānte the ki haiñ ye bhī chashm-e-tar ke fareb
pata chalā ki har ik gaam meñ thī ik manzil
khule haiñ manzil-e-maqsūd par safar ke fareb
inhīñ kā naam mohabbat inhīñ kā naam junūñ
mirī nigāh ke dhoke tirī nazar ke fareb
ho rahzan ki hidayat ki rahbar ke fareb
meri nigah ne khae nazar nazar ke fareb
ye but-kade ye kalisa ye masjiden ye haram
ye sab fareb hain aur ek sang-e-dar ke fareb
samajh rahe the ki ashkon se hoga dil halka
na jaante the ki hain ye bhi chashm-e-tar ke fareb
pata chala ki har ek gam mein thi ek manzil
khule hain manzil-e-maqsud par safar ke fareb
inhin ka nam mohabbat inhin ka nam junun
meri nigah ke dhoke teri nazar ke fareb
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 435)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.