ho raha jo tum samjhe faisla KHuda ka hai
ho rahā jo tum samjhe faisla ḳhudā kā hai
ye sila to insāñ kī apnī hī ḳhatā kā hai
lag ga.ī vabā-e-be-e'tibārī insāñ ko
pochhiye na mujh se haal ab ki jo davā kā hai
hālat-e-dil-e-nādāñ kyoñ bigaḌtī jaa.e hai
ab ki mujh pe saaya shāyad kisī balā kā hai
āh-o-zārī vīrānī bebasī-o-nādārī
ai ḳhudā ye haal ab kyoñ banda-e-ḳhudā kā hai
ab rahī diyānat-dārī na hī vafādārī
log kahte haiñ bas ye mas.ala vafā kā hai
zulm kī taraf-dārī aise kyoñ kare koī
maan lījiye saarā mas.ala anā kā hai
bujh ga.e charāġh āḳhir kyoñ patā chalā 'hasrat'
ye qusūr saare kā saarā bas havā kā hai
ho raha jo tum samjhe faisla KHuda ka hai
ye sila to insan ki apni hi KHata ka hai
lag gai waba-e-be-e'tibari insan ko
pochhiye na mujh se haal ab ki jo dawa ka hai
haalat-e-dil-e-nadan kyon bigaDti jae hai
ab ki mujh pe saya shayad kisi bala ka hai
aah-o-zari virani bebasi-o-nadari
ai KHuda ye haal ab kyon banda-e-KHuda ka hai
ab rahi diyanat-dari na hi wafadari
log kahte hain bas ye masala wafa ka hai
zulm ki taraf-dari aise kyon kare koi
man lijiye sara masala ana ka hai
bujh gae charagh aaKHir kyon pata chala 'hasrat'
ye qusur sare ka sara bas hawa ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.