ho rahe hain nama-o-paigham hanste bolte
Interesting Fact
(June 21, 1958)
ho rahe haiñ nāma-o-paiġhām hañste bolte
kaT rahī hai har sahar har shaam hañste bolte
mil rahe haiñ nit na.e in.aam hañste bolte
khā rahe haiñ aap ke dushnām hañste bolte
aap rusvā hoñ hamāre sāmne mumkin nahīñ
apne sar le leñge har ilzām hañste bolte
dil-lagī hī dil-lagī meñ kaam apnā ban gayā
aa gayā pahlū meñ vo gulfām hañste bolte
mausam-e-gul meñ hameñ rakhnā thā dil sayyād kā
ho ga.e ham ḳhud asīr-e-dām hañste bolte
bad-gumāñ the laakh tum ham se nasīb-e-dushmanāñ
phir bhī tum ham se barā.e-nām hañste bolte
ham na kahte the na suniye dil-jaloñ kī dāstāñ
ho ga.e kyuuñ larza-bar-andām hañste bolte
baat to kuchh bhī na thī haañ baat to kuchh bhī na thī
ho ga.e ham muft meñ bad-nām hañste bolte
gardish-e-ayyām kā shikva tujhe zebā nahīñ
aur le himmat se ai dil kaam hañste bolte
shādmānī muskurā.ī ḳhush-nasīboñ par to kyā
baat to jab thī ġham-o-ālām hañste bolte
ek ma.abad meñ makīñ haiñ ek muddat se magar
kyuuñ nahīñ asnām se asnām hañste bolte
bazm-e-mai meñ kyuuñ kisī ko jur.at-e-inkār ho
jab mile hāthoñ se un ke jaam hañste bolte
in meñ ye tafrīq kyuuñ hai ai mire parvardigār
kyuuñ nahīñ aapas meñ ḳhās-o-ām hañste bolte
bolte hañste guzārī ham ne saarī zindagī
kyuuñ na phir ham naza.a ke hañgām hañste bolte
thā dam-e-āḳhir tasavvur meñ jamāl-e-dil-nashīñ
ho gayā 'tālib' ba-ḳhair anjām hañste bolte
ho rahe hain nama-o-paigham hanste bolte
kaT rahi hai har sahar har sham hanste bolte
mil rahe hain nit nae inam hanste bolte
kha rahe hain aap ke dushnam hanste bolte
aap ruswa hon hamare samne mumkin nahin
apne sar le lenge har ilzam hanste bolte
dil-lagi hi dil-lagi mein kaam apna ban gaya
aa gaya pahlu mein wo gulfam hanste bolte
mausam-e-gul mein hamein rakhna tha dil sayyaad ka
ho gae hum KHud asir-e-dam hanste bolte
bad-guman the lakh tum hum se nasib-e-dushmanan
phir bhi tum hum se barae-nam hanste bolte
hum na kahte the na suniye dil-jalon ki dastan
ho gae kyun larza-bar-andam hanste bolte
baat to kuchh bhi na thi han baat to kuchh bhi na thi
ho gae hum muft mein bad-nam hanste bolte
gardish-e-ayyam ka shikwa tujhe zeba nahin
aur le himmat se ai dil kaam hanste bolte
shadmani muskurai KHush-nasibon par to kya
baat to jab thi gham-o-alam hanste bolte
ek mabad mein makin hain ek muddat se magar
kyun nahin asnam se asnam hanste bolte
bazm-e-mai mein kyun kisi ko jurat-e-inkar ho
jab mile hathon se un ke jam hanste bolte
in mein ye tafriq kyun hai ai mere parwardigar
kyun nahin aapas mein KHas-o-am hanste bolte
bolte hanste guzari hum ne sari zindagi
kyun na phir hum naza ke hangam hanste bolte
tha dam-e-aKHir tasawwur mein jamal-e-dil-nashin
ho gaya 'talib' ba-KHair anjam hanste bolte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.