ho rahi hai dar-ba-dar aisi jabin-sai ki bas
ho rahī hai dar-ba-dar aisī jabīñ-sā.ī ki bas
kyā abhī baaqī hai koī aur rusvā.ī ki bas
āshnā rāheñ bhī hotī jā rahī haiñ ajnabī
is tarah jaatī rahī āñkhoñ se bīnā.ī ki bas
tā sahar karte rahe ham intizār-e-mehr-e-nau
dekhte hī dekhte aisī ghaTā chhā.ī ki bas
DhūñDte hī rah ga.e ham laal o almās o guhar
kor bad-bīnoñ ne aisī ḳhaak chhanvā.ī ki bas
kuchh shu.ūr o his kā thā bohrān ham meñ varna ham
ahd-e-nau kī is tarah karte pazīrā.ī ki bas
kyā nahīñ kaj-aks ā.īnoñ kā duniyā meñ ilaaj
jis ko dekho hai ajab mahv-e-ḳhud-ārā.ī ki bas
chākrī karte hue bhī ham rahe āzād-rau
dast-o-pā-e-shauq meñ hai vo tavānā.ī ki bas
aah kyā karte ki ham aadī na the ārām ke
choT ik ik gaam par albatta vo khaa.ī ki bas
us hasīñ giitī ke khul kar rah ga.e sab joḌ-band
chand pāgal zarroñ ko aa.ī vo añgḌā.ī ki bas
vo to kahiye baat ki fursat na thī varna ajal
pūchhtī gāv-e-zamīñ se aur paspā.ī ki bas
kaun shā.ir thā kahīñ kā kaun dānish-var magar
daftaroñ kī dauḌ 'vāmiq' aisī raas aa.ī ki bas
ho rahi hai dar-ba-dar aisi jabin-sai ki bas
kya abhi baqi hai koi aur ruswai ki bas
aashna rahen bhi hoti ja rahi hain ajnabi
is tarah jati rahi aankhon se binai ki bas
ta sahar karte rahe hum intizar-e-mehr-e-nau
dekhte hi dekhte aisi ghaTa chhai ki bas
DhunDte hi rah gae hum lal o almas o guhar
kor bad-binon ne aisi KHak chhanwai ki bas
kuchh shuur o his ka tha bohran hum mein warna hum
ahd-e-nau ki is tarah karte pazirai ki bas
kya nahin kaj-aks aainon ka duniya mein ilaj
jis ko dekho hai ajab mahw-e-KHud-arai ki bas
chaakri karte hue bhi hum rahe aazad-rau
dast-o-pa-e-shauq mein hai wo tawanai ki bas
aah kya karte ki hum aadi na the aaram ke
choT ek ek gam par albatta wo khai ki bas
us hasin giti ke khul kar rah gae sab joD-band
chand pagal zarron ko aai wo angDai ki bas
wo to kahiye baat ki fursat na thi warna ajal
puchhti gaw-e-zamin se aur paspai ki bas
kaun shair tha kahin ka kaun danish-war magar
daftaron ki dauD 'wamiq' aisi ras aai ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.