ho rahi hai is tasawwur se pareshani mujhe
ho rahī hai is tasavvur se pareshānī mujhe
aa.ina un ko udāsī degā hairānī mujhe
ḳhuun rulvātī hai ham-jinsoñ kī nādānī mujhe
vo ḳhatā karte haiñ hotī hai pashemānī mujhe
ho gayā hai aaj har insāñ zarūrat kā ġhulām
ab kisī talvār par miltā nahīñ paanī mujhe
ye huā aql-o-junūñ kī jang kā radd-e-amal
hukmrāñ miltī hai har bastī pe vīrānī mujhe
jab hiqārat se kisī ko dekhtā hai koī shaḳhs
kyā kahūñ hotī hai jo taklīf-e-rūhānī mujhe
jāntā huuñ zid na karnā pūchhne kī dosto
kis ke dar par ḳham milī hai kis kī peshānī mujhe
sar jhuke to bas na uThne kī qasam khā kar jhuke
mashvara ye de rahī hai merī peshānī mujhe
aaj ke zohra-jamāloñ kā tamaddun dekh kar
sar-nigūñ miltī hai bū-e-gul kī uryānī mujhe
imtihāñ letī hai qudrat haisiyat ko dekh kar
qahqahe un ko mile haiñ ashk-afshānī mujhe
chāñd tāroñ ke jahāñ meñ ghar banāne ke liye
āj-kal duniyā nazar aatī hai dīvānī mujhe
ab kisī kashtī ko dariyā meñ koī ḳhatra nahīñ
ḳhema-zan miltī hai har sāhil pe tuġhyānī mujhe
mai-kade kī baat hī kyā pūchhte ho dosto
mohtaram logoñ ke māthe par milā paanī mujhe
ishq to insāniyat ke imtihāñ kā naam hai
ho 'nihāl' is imtihāñ se kyoñ pareshānī mujhe
ho rahi hai is tasawwur se pareshani mujhe
aaina un ko udasi dega hairani mujhe
KHun rulwati hai ham-jinson ki nadani mujhe
wo KHata karte hain hoti hai pashemani mujhe
ho gaya hai aaj har insan zarurat ka ghulam
ab kisi talwar par milta nahin pani mujhe
ye hua aql-o-junun ki jang ka radd-e-amal
hukmran milti hai har basti pe virani mujhe
jab hiqarat se kisi ko dekhta hai koi shaKHs
kya kahun hoti hai jo taklif-e-ruhani mujhe
jaanta hun zid na karna puchhne ki dosto
kis ke dar par KHam mili hai kis ki peshani mujhe
sar jhuke to bas na uThne ki qasam kha kar jhuke
mashwara ye de rahi hai meri peshani mujhe
aaj ke zohra-jamalon ka tamaddun dekh kar
sar-nigun milti hai bu-e-gul ki uryani mujhe
imtihan leti hai qudrat haisiyat ko dekh kar
qahqahe un ko mile hain ashk-afshani mujhe
chand taron ke jahan mein ghar banane ke liye
aaj-kal duniya nazar aati hai diwani mujhe
ab kisi kashti ko dariya mein koi KHatra nahin
KHema-zan milti hai har sahil pe tughyani mujhe
mai-kade ki baat hi kya puchhte ho dosto
mohtaram logon ke mathe par mila pani mujhe
ishq to insaniyat ke imtihan ka nam hai
ho 'nihaal' is imtihan se kyon pareshani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.