ho rahi hai raat-din har samt se yalghaar ab
ho rahī hai rāt-din har samt se yalġhār ab
laḌ rahā hai bas akelā hī sipah-sālār ab
mujh ko jis kī justujū thī merā dushman mil gayā
maiñ huuñ apne aap hī se barsar-e-paikār ab
ek markaz par simaT kar rah ga.ī hai zindagī
jazb hai dīvār hī meñ sāya-e-dīvār ab
aap darvāzoñ pe dastak de rahe haiñ kis liye
jā.iye is shahr meñ koī nahīñ bedār ab
bach ke tūfāñ se nikalne kī koī sūrat nahīñ
Dūbtī kashtī kā kar leñ āḳhirī dīdār ab
ho rahi hai raat-din har samt se yalghaar ab
laD raha hai bas akela hi sipah-salar ab
mujh ko jis ki justuju thi mera dushman mil gaya
main hun apne aap hi se barsar-e-paikar ab
ek markaz par simaT kar rah gai hai zindagi
jazb hai diwar hi mein saya-e-diwar ab
aap darwazon pe dastak de rahe hain kis liye
jaiye is shahr mein koi nahin bedar ab
bach ke tufan se nikalne ki koi surat nahin
Dubti kashti ka kar len aaKHiri didar ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.