ho rang-e-shafaq jaise ruKH-e-sham mein utra
ho rañg-e-shafaq jaise ruḳh-e-shām meñ utrā
vo merī nigāhoñ ke dar-o-bām meñ utrā
vā hone lage saare ummīdoñ ke darīche
jab terā tasavvur dil-e-nā-kām meñ utrā
jab ḳhūn-e-jigar ghol diyā ham ne suḳhan meñ
tab jā ke kahīñ hai rag-e-hañgām meñ utrā
jab jazba-e-dil safha-e-qirtās pe aayā
tab aks-e-darūñ shīsha-e-paiġhām meñ utrā
jab saarā safar kaT gayā be-yār-o-madadgār
ik haath falak se hai tab anjām meñ utrā
ho rang-e-shafaq jaise ruKH-e-sham mein utra
wo meri nigahon ke dar-o-baam mein utra
wa hone lage sare ummidon ke dariche
jab tera tasawwur dil-e-na-kaam mein utra
jab KHun-e-jigar ghol diya hum ne suKHan mein
tab ja ke kahin hai rag-e-hangam mein utra
jab jazba-e-dil safha-e-qirtas pe aaya
tab aks-e-darun shisha-e-paigham mein utra
jab sara safar kaT gaya be-yar-o-madadgar
ek hath falak se hai tab anjam mein utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.