Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho ruh ke tain jism se kis tarah mohabbat

Taban Abdul Hai

ho ruh ke tain jism se kis tarah mohabbat

Taban Abdul Hai

MORE BYTaban Abdul Hai

    ho ruuh ke ta.iiñ jism se kis tarah mohabbat

    taa.ir ko qafas se bhī kahīñ ho hai mohabbat

    go zill-e-humā mat ho rahe sar pe hamāre

    tā-hashr terā sāya-e-dīvār salāmat

    atvār tire bā.is-e-āfāt-e-jahāñ haiñ

    āsār tire haiñge sab āsār-e-qayāmat

    sayyād na ab be-par-o-bāloñ ko ab chhoḌ

    phir hasrat-e-gul degī hameñ saḳht aziyyat

    asbāb jahāñ to dilā fikr na kar

    hāsil nahīñ kuchh is meñ ba-juz ranj-o-mashaqqat

    chhoḌūñgā na maiñ tujh ko tire ḳhat ke bhī aa.e

    tab bhī na ho yaar to ye bhī mirī qismat

    'tābāñ' sadā sair har ik gul kiyā kar

    is gulshan-e-hastī nazārā hai ġhanīmat

    ho ruh ke tain jism se kis tarah mohabbat

    tair ko qafas se bhi kahin ho hai mohabbat

    go zill-e-huma mat ho rahe sar pe hamare

    ta-hashr tera saya-e-diwar salamat

    atwar tere bais-e-afat-e-jahan hain

    aasar tere hainge sab aasar-e-qayamat

    sayyaad na ab be-par-o-baalon ko tu ab chhoD

    phir hasrat-e-gul degi hamein saKHt aziyyat

    asbab jahan ki to dila fikr na kar tu

    hasil nahin kuchh is mein ba-juz ranj-o-mashaqqat

    chhoDunga na main tujh ko tere KHat ke bhi aae

    tu tab bhi na ho yar to ye bhi meri qismat

    'taban' tu sada sair har ek gul ki kiya kar

    is gulshan-e-hasti ka nazara hai ghanimat

    Source :
    • Deewan-e-Taban Rekhta Website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now