ho sal-e-nau bahisht ka darpan KHuda kare
ho sāl-e-nau bahisht kā darpan ḳhudā kare
har ghar masarratoñ kā ho maskan ḳhudā kare
jaag uTTheñ ab diloñ meñ mohabbat ke valvale
ThanDā ho nafratoñ kā ye īñdhan ḳhudā kare
har shaḳhs har ġharīb kī puurī murād ho
hoñ zindagī ke rāste chandan ḳhudā kare
ehsās aur shu.ūr ke tannūr jal uTheñ
jal kar hamāre shahrī hoñ kundan ḳhudā kare
har qāfile ko ḳhair kī manzil mile sadā
har ban ho us kī raah meñ gulshan ḳhudā kare
nekī ke rāste se hoñ dushvāriyāñ bhī duur
saarī burā.iyoñ pe ho qadġhan ḳhudā kare
insāniyat kā qatl jo karte haiñ raat din
zindāñ kī tīrgī meñ hoñ dushman ḳhudā kare
ho sal-e-nau bahisht ka darpan KHuda kare
har ghar masarraton ka ho maskan KHuda kare
jag uTThen ab dilon mein mohabbat ke walwale
ThanDa ho nafraton ka ye indhan KHuda kare
har shaKHs har gharib ki puri murad ho
hon zindagi ke raste chandan KHuda kare
ehsas aur shuur ke tannur jal uThen
jal kar hamare shahri hon kundan KHuda kare
har qafile ko KHair ki manzil mile sada
har ban ho us ki rah mein gulshan KHuda kare
neki ke raste se hon dushwariyan bhi dur
sari buraiyon pe ho qadghan KHuda kare
insaniyat ka qatl jo karte hain raat din
zindan ki tirgi mein hon dushman KHuda kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.