ho sahar jis ki sham se tarik
ho sahar jis kī shaam se tārīk
aise din se to raat achchhī hai
lab pe muskān dil meñ ho nafrat
aise milne se ghaat achchhī hai
mere nāloñ pe aap kā hañsnā
sochiyegā ye baat achchhī hai
tere rangīñ jahān se merī
ġham kī ye kā.enāt achchhī hai
kyoñ na 'ālam' pilā.ī saaqī ne
tum to kahte the baat achchhī hai
ho sahar jis ki sham se tarik
aise din se to raat achchhi hai
lab pe muskan dil mein ho nafrat
aise milne se ghat achchhi hai
mere nalon pe aap ka hansna
sochiyega ye baat achchhi hai
tere rangin jahan se meri
gham ki ye kaenat achchhi hai
kyon na 'alam' pilai saqi ne
tum to kahte the baat achchhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.