Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho sake to aa jao barishon ke mausam mein

Shahdil Shams

ho sake to aa jao barishon ke mausam mein

Shahdil Shams

MORE BYShahdil Shams

    ho sake to aa jaao bārishoñ ke mausam meñ

    dil se dil milā jaao bārishoñ ke mausam meñ

    bādaloñ gherā hai har taraf añdherā hai

    rāsta dikhā jaao bārishoñ ke mausam meñ

    giit ban ke chāhat tum hamāre hoñToñ par

    ek baar aa jaao bārishoñ ke mausam meñ

    titliyoñ se phūloñ se ḳhush-ḳhirām jhoñkoñ se

    khelnā sikhā jaao bārishoñ ke mausam meñ

    raakh na ho jaa.eñ jism-o-jāñ judā.ī meñ

    fāsle miTā jaao bārishoñ ke mausam meñ

    dhuup hai qayāmat tan-badan sulagtā hai

    abr ban ke chhā jaao bārishoñ ke mausam meñ

    'shāhdil' bhulā de jo ek ik ġham-e-hastī

    jaam vo pilā jaao bārishoñ ke mausam meñ

    ho sake to aa jao barishon ke mausam mein

    dil se dil mila jao barishon ke mausam mein

    baadalon ka ghera hai har taraf andhera hai

    rasta dikha jao barishon ke mausam mein

    git ban ke chahat ka tum hamare honTon par

    ek bar aa jao barishon ke mausam mein

    titliyon se phulon se KHush-KHiram jhonkon se

    khelna sikha jao barishon ke mausam mein

    rakh hi na ho jaen jism-o-jaan judai mein

    fasle miTa jao barishon ke mausam mein

    dhup hai qayamat ki tan-badan sulagta hai

    abr ban ke chha jao barishon ke mausam mein

    'shahdil' bhula de jo ek ek gham-e-hasti

    jam wo pila jao barishon ke mausam mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now