ho sake to dil-e-sad-chaak dikhaya jae
ho sake to dil-e-sad-chāk dikhāyā jaa.e
ab bharī bazm meñ ahvāl sunāyā jaa.e
haa.e us jān-e-tamannā se nibhegī kaise
ham se to raaz na ik roz chhupāyā jaa.e
apnā ġham ho to use kah ke sukūñ mil jaa.e
us kā ġham ho to kise jā ke sunāyā jaa.e
raat bhar jin kī ziyā se rahe raushan kamre
sub.h-dam un hī charāġhoñ ko bujhāyā jaa.e
dhyān meñ jis ke ka.ī jāgtī rāteñ guzrīñ
'rāhat' ik raat use bhī to jagāyā jaa.e
ho sake to dil-e-sad-chaak dikhaya jae
ab bhari bazm mein ahwal sunaya jae
hae us jaan-e-tamanna se nibhegi kaise
hum se to raaz na ek roz chhupaya jae
apna gham ho to use kah ke sukun mil jae
us ka gham ho to kise ja ke sunaya jae
raat bhar jin ki ziya se rahe raushan kamre
subh-dam un hi charaghon ko bujhaya jae
dhyan mein jis ke kai jagti raaten guzrin
'rahat' ek raat use bhi to jagaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.