ho sake to mera kaha karna
ho sake to mirā kahā karnā
apne rahbar kī mat sunā karnā
chehre vaalo na ye ḳhatā karnā
aa.ine kā na sāmnā karnā
dil kī dhartī meñ jis ne dukh bo.e
haq meñ us shaḳhs ke duā karnā
farz hai vāldain kī ḳhidmat
bachcho is farz ko adā karnā
kahtā huuñ saaf saaf ai 'shamsī'
be-vafāoñ se kyā vafā karnā
ho sake to mera kaha karna
apne rahbar ki mat suna karna
chehre walo na ye KHata karna
aaine ka na samna karna
dil ki dharti mein jis ne dukh boe
haq mein us shaKHs ke dua karna
farz hai waldain ki KHidmat
bachcho is farz ko ada karna
kahta hun saf saf ai 'shamsi'
be-wafaon se kya wafa karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.