ho shauq pur-KHulus to mane nahin hudud
ho shauq pur-ḳhulūs to maane nahīñ hudūd
dariyā ravāñ-davāñ hai kināroñ ke bāvajūd
hai dīdanī farāsat-e-hāzir kī ye numūd
ajsām tez-gām haiñ aur ruuh pur-jumūd
kab khul sakā hai aql pe ye rāz-e-hast-o-būd
fikr-o-nazar ke saath haiñ ehsās ke quyūd
āzādiyāñ vo saḳht haiñ zindāñ kī qaid se
jin meñ nigāh-o-fikr pe hoñ saikḌoñ quyūd
tū jān-e-zindagī hai tū unvān-e-zindagī
terī hī jalva-gāh hai kyā ġhaib kyā shuhūd
rindān-e-mai-kada bhī hue maslahat-shanās
ab ban gayā hai mai-kada bazm-e-ziyān-o-sūd
yārān-e-mai-kadā kī siyāsat na pūchhiye
ḳhatre meñ paḌ gayā hai ḳhud insān kā vajūd
ho shauq pur-KHulus to mane nahin hudud
dariya rawan-dawan hai kinaron ke bawajud
hai didani farasat-e-hazir ki ye numud
ajsam tez-gam hain aur ruh pur-jumud
kab khul saka hai aql pe ye raaz-e-hast-o-bud
fikr-o-nazar ke sath hain ehsas ke quyud
aazadiyan wo saKHt hain zindan ki qaid se
jin mein nigah-o-fikr pe hon saikDon quyud
tu jaan-e-zindagi hai tu unwan-e-zindagi
teri hi jalwa-gah hai kya ghaib kya shuhud
rindan-e-mai-kada bhi hue maslahat-shanas
ab ban gaya hai mai-kada bazm-e-ziyan-o-sud
yaran-e-mai-kada ki siyasat na puchhiye
KHatre mein paD gaya hai KHud insan ka wajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.