ho tark kisi se na mulaqat kisi ki
ho tark kisī se na mulāqāt kisī kī
yārab na bigaḌ jaa.e banī baat kisī kī
paañv ko jo phailā ke sar-e-shām se so.e
kyā jaane vo kis tarah ka.ī raat kisī kī
farmā.iye kyuuñ kar vo sahe aap kī gaalī
uTh saktī na ho jis se kaḌī baat kisī kī
farmā.isheñ tum roz karo shauq se lekin
ye jaan lo thoḌī sī hai auqāt kisī kī
mumkin hai ki samjhe na 'hafīz' aap kī chāleñ
shā.er se bhī chaltī hai kahīñ ghaat kisī kī
ho tark kisi se na mulaqat kisi ki
yarab na bigaD jae bani baat kisi ki
panw ko jo phaila ke sar-e-sham se soe
kya jaane wo kis tarah kai raat kisi ki
farmaiye kyun kar wo sahe aap ki gali
uTh sakti na ho jis se kaDi baat kisi ki
farmaishen tum roz karo shauq se lekin
ye jaan lo thoDi si hai auqat kisi ki
mumkin hai ki samjhe na 'hafiz' aap ki chaalen
shaer se bhi chalti hai kahin ghat kisi ki
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-279 Page Number-234)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.