ho wo amir-e-shahr ki bhuka faqir ho
ho vo amīr-e-shahr ki bhūkā faqīr ho
ḳhush-baḳht use kaheñge jo raushan zamīr ho
daulat se kab ḳharīd sakegā use koī
ġhurbat meñ bhī jo apnī anā kā asiir ho
kyoñ kar vo kar sakegā bhalā apnā sar buland
har ḳhās-o-ām kī jo nazar meñ haqīr ho
aisā kahāñ zamāne meñ paidā huā koī
apnī nazīr aap ho jo be-nazīr ho
khātā hai ġhussa aql-e-bashar ko magar ye raaz
samjhegā kab lakīr kā jo bhī faqīr ho
lagte haiñ ḳhār-dār daraḳhtoñ pe phal magar
lagtā hai phal bhī vaisā ki jaisā ḳhamīr ho
kam-zarf ke paḌos kā pūchho na hāl-e-zār
muñh-zor hai ġharīb ho chāhe amiir ho
lete haiñ kaam hosh se chaltā hai vaqt par
dīda-varoñ ke haath meñ ḳhanjar ki tiir ho
arsh-e-adab ke chāñd sitāroñ meñ hai shumār
'nayyar' 'firāq' 'zauq' ki 'ġhālib' ho 'mīr' ho
ho wo amir-e-shahr ki bhuka faqir ho
KHush-baKHt use kahenge jo raushan zamir ho
daulat se kab KHarid sakega use koi
ghurbat mein bhi jo apni ana ka asir ho
kyon kar wo kar sakega bhala apna sar buland
har KHas-o-am ki jo nazar mein haqir ho
aisa kahan zamane mein paida hua koi
apni nazir aap ho jo be-nazir ho
khata hai ghussa aql-e-bashar ko magar ye raaz
samjhega kab lakir ka jo bhi faqir ho
lagte hain KHar-dar daraKHton pe phal magar
lagta hai phal bhi waisa ki jaisa KHamir ho
kam-zarf ke paDos ka puchho na haal-e-zar
munh-zor hai gharib ho chahe amir ho
lete hain kaam hosh se chalta hai waqt par
dida-waron ke hath mein KHanjar ki tir ho
arsh-e-adab ke chand sitaron mein hai shumar
'nayyar' 'firaq' 'zauq' ki 'ghaalib' ho 'mir' ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.