hoga aisa bhi koi mard-e-KHuda mere baad
hoga aisa bhi koi mard-e-KHuda mere baad
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
hogā aisā bhī koī mard-e-ḳhudā mere baad
degā duniyā ko jo paiġhām-e-vafā mere baad
zindagī bhar na milegā lab-o-lahja merā
hone ko hoñge bahut naġhma-sarā mere baad
maiñ to jaane ko chalā jā.ūñ tirī mahfil se
kis ko tanhā.ī meñ degā tū sadā mere baad
merī tasvīr mire ḳhat mujhe vāpas de do
yahī rulvā.eñge tum ko ba-ḳhudā mere baad
dil ulaT jā.egā sāvan meñ qayāmat hogī
phir suneñge na papīhe kī sadā mere baad
bijliyāñ chāk-garebāñ nazar ā.eñgī tumheñ
ḳhuun barsā.egī sāvan kī ghaTā mere baad
aa.ina sāmne rakh kar jise tum dekhte ho
nazar aa.egā vo murjhāyā huā mere baad
ḳhatm ho jā.egā 'muḳhtār' qayāmat kā shor
phir na hogā kabhī hangāma bapā mere baad
hoga aisa bhi koi mard-e-KHuda mere baad
dega duniya ko jo paigham-e-wafa mere baad
zindagi bhar na milega lab-o-lahja mera
hone ko honge bahut naghma-sara mere baad
main to jaane ko chala jaun teri mahfil se
kis ko tanhai mein dega tu sada mere baad
meri taswir mere KHat mujhe wapas de do
yahi rulwaenge tum ko ba-KHuda mere baad
dil ulaT jaega sawan mein qayamat hogi
phir sunenge na papihe ki sada mere baad
bijliyan chaak-gareban nazar aaengi tumhein
KHun barsaegi sawan ki ghaTa mere baad
aaina samne rakh kar jise tum dekhte ho
nazar aaega wo murjhaya hua mere baad
KHatm ho jaega 'muKHtar' qayamat ka shor
phir na hoga kabhi hangama bapa mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.