hoga kam apna fasla yunhi
hogā kam apnā fāsla yūñhī
kaT hī jā.egā rāsta yūñhī
shoḳhiyāñ terī yaad aatī haiñ
phir se aa kar mujhe satā yūñhī
maiñ jalātī rahī vafā ke charāġh
aur bujhātī rahī havā yūñhī
jab ki qismat meñ raushnī hī nahīñ
kyuuñ ye ḳhurshīd bhī ugā yūñhī
us kī āñkheñ to mai kā sāgar haiñ
ai mire dil tū Duub jā yūñhī
phuul jhaḌte haiñ us kī bātoñ se
vo nahīñ hotā lab-kushā yūñhī
maiñ ne sūraj kā saath paayā hai
hai 'munavvar' nahīñ ziyā yūñhī
hoga kam apna fasla yunhi
kaT hi jaega rasta yunhi
shoKHiyan teri yaad aati hain
phir se aa kar mujhe sata yunhi
main jalati rahi wafa ke charagh
aur bujhati rahi hawa yunhi
jab ki qismat mein raushni hi nahin
kyun ye KHurshid bhi uga yunhi
us ki aankhen to mai ka sagar hain
ai mere dil tu Dub ja yunhi
phul jhaDte hain us ki baaton se
wo nahin hota lab-kusha yunhi
main ne suraj ka sath paya hai
hai 'munawwar' nahin ziya yunhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.