hoga kya chand-nagar sochte hain
hogā kyā chāñd-nagar sochte haiñ
ham ba-unvān-e-digar sochte haiñ
apnā zāhir meñ koī jurm na thā
kyuuñ hue shahr-badar sochte haiñ
shāḳh-dar-shāḳh haiñ gum-sum taa.ir
sar ko nehuḌā.e shajar sochte haiñ
koī batlā.e ye kyā vaadī hai
dam-ba-ḳhud koh hajar sochte haiñ
jaane kyuuñ mujh se bichhaḌ kar 'munzir'
vo bhī mānind-e-bashar sochte haiñ
hoga kya chand-nagar sochte hain
hum ba-unwan-e-digar sochte hain
apna zahir mein koi jurm na tha
kyun hue shahr-badar sochte hain
shaKH-dar-shaKH hain gum-sum tair
sar ko nehuDae shajar sochte hain
koi batlae ye kya wadi hai
dam-ba-KHud koh hajar sochte hain
jaane kyun mujh se bichhaD kar 'munzir'
wo bhi manind-e-bashar sochte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.