hon apne ya ki parae sabhi ke man mein rahe

hon apne ya ki parae sabhi ke man mein rahe
Saddam Hussain Nazan
MORE BYSaddam Hussain Nazan
hoñ apne yā ki parā.e sabhī ke man meñ rahe
divāna aap kā is shaan se zaman meñ rahe
judā.ī jab na sahī jā.egī vo aa.egā
mirā surāġh lagātā isī jatan meñ rahe
shu'ūr paas nahīñ hai zamīñ pe rahne kā
magar vo faḳhr se kahte haiñ ham gagan meñ rahe
ḳhayāl-e-yār se āzādī ab kahāñ hāsil
akele meñ rahe ham yā ki anjuman meñ rahe
amīr-e-shahr ko kuchh ġham nahīñ ġharīboñ kā
barahna jism rahe yā ki pairahan meñ rahe
banāyā ahl-e-mohabbat ne āñkhoñ kā taarā
azal se ham jo mohabbat kī anjuman meñ rahe
hayā bhī aap ke īmāñ kā juzv hai 'nāzāñ'
hayā kā paanī sadā aap ke nayan meñ rahe
hon apne ya ki parae sabhi ke man mein rahe
diwana aap ka is shan se zaman mein rahe
judai jab na sahi jaegi wo aaega
mera suragh lagata isi jatan mein rahe
shu'ur pas nahin hai zamin pe rahne ka
magar wo faKHr se kahte hain hum gagan mein rahe
KHayal-e-yar se aazadi ab kahan hasil
akele mein rahe hum ya ki anjuman mein rahe
amir-e-shahr ko kuchh gham nahin gharibon ka
barahna jism rahe ya ki pairahan mein rahe
banaya ahl-e-mohabbat ne aankhon ka tara
azal se hum jo mohabbat ki anjuman mein rahe
haya bhi aap ke iman ka juzw hai 'nazan'
haya ka pani sada aap ke nayan mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.