hon mubarak tumko shaidai bahut
hoñ mubārak tum ko shaidā.ī bahut
haiñ hamāre bhī tamannā.ī bahut
ham hī kuchh us ke na kaam aa.e kabhī
zindagī to apne kaam aa.ī bahut
raat bhī the gosh-bar-āvāz ham
dil dhaḌakne kī sadā aa.ī bahut
Dūbnā chāheñ to ai zālim hameñ
hai tirī āñkhoñ kī gahrā.ī bahut
ham hī kuchh socheñge ab ai chāragar
dekh lī terī masīhā.ī bahut
bad-gumāñ hote na the yuuñ tujh se ham
āj-kal rahtī hai tanhā.ī bahut
bevafā us ko hī kyuuñ kahiye 'ḳhalīl'
hai hamārā dil bhī harjā.ī bahut
hon mubarak tum ko shaidai bahut
hain hamare bhi tamannai bahut
hum hi kuchh us ke na kaam aae kabhi
zindagi to apne kaam aai bahut
raat bhi the gosh-bar-awaz hum
dil dhaDakne ki sada aai bahut
Dubna chahen to ai zalim hamein
hai teri aankhon ki gahrai bahut
hum hi kuchh sochenge ab ai chaaragar
dekh li teri masihai bahut
bad-guman hote na the yun tujh se hum
aaj-kal rahti hai tanhai bahut
bewafa us ko hi kyun kahiye 'KHalil'
hai hamara dil bhi harjai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.