hona to nahin chahiye par yar hua to
honā to nahīñ chāhiye par yaar huā to
rahbar hī mirī raah kī dīvār huā to
tū apnī anā meñ jise kam aañk rahā hai
ik din tire lashkar kā vo sardār huā to
tinkā bhī jise dete ho ehsān samajh kar
har shai meñ barābar kā vo haqdār huā to
kahte haiñ udāsī kā sabab ishq meñ jis ko
dar-asl vahī hijr mazedār huā to
hona to nahin chahiye par yar hua to
rahbar hi meri rah ki diwar hua to
tu apni ana mein jise kam aank raha hai
ek din tere lashkar ka wo sardar hua to
tinka bhi jise dete ho ehsan samajh kar
har shai mein barabar ka wo haqdar hua to
kahte hain udasi ka sabab ishq mein jis ko
dar-asl wahi hijr mazedar hua to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.