hone ka apne wahm sa hota raha mujhe
hone kā apne vahm sā hotā rahā mujhe
yā'nī sarāb-e-zāt Dubotā rahā mujhe
ik dukh ki jis ne sañg ko dil sā banā diyā
ik ashk saarī raat bhigotā rahā mujhe
achchhe dinoñ ke ḳhvāb kī ta.abīr ke liye
maiñ us ko jāgtā huuñ jo sotā rahā mujhe
tere hī dukh kī chheḌī ga.ī rāgnī huuñ maiñ
terā hī raag dhun meñ pirotā rahā mujhe
avval badan kā bojh hai saanī hai dil kā baar
dukh hai vo ek paañv jo Dhotā rahā mujhe
hargiz maiñ kam paḌūñ na ziyāda use lagūñ
ik shaḳhs is hisāb se khotā rahā mujhe
mere dukhoñ meñ mil ga.e duniyā ke saare dukh
dukh ḳhud meñ ek umr samotā rahā mujhe
jis ne kuñvar shiven kā dībācha paḌh liyā
baaqī bachī kitāb meñ rotā rahā mujhe
hone ka apne wahm sa hota raha mujhe
ya'ni sarab-e-zat Dubota raha mujhe
ek dukh ki jis ne sang ko dil sa bana diya
ek ashk sari raat bhigota raha mujhe
achchhe dinon ke KHwab ki tabir ke liye
main us ko jagta hun jo sota raha mujhe
tere hi dukh ki chheDi gai ragni hun main
tera hi rag dhun mein pirota raha mujhe
awwal badan ka bojh hai sani hai dil ka bar
dukh hai wo ek panw jo Dhota raha mujhe
hargiz main kam paDun na ziyaada use lagun
ek shaKHs is hisab se khota raha mujhe
mere dukhon mein mil gae duniya ke sare dukh
dukh KHud mein ek umr samota raha mujhe
jis ne kunwar shiwen ka dibacha paDh liya
baqi bachi kitab mein rota raha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.