hone ki gawahi ke liye KHak bahut hai
hone kī gavāhī ke liye ḳhaak bahut hai
yā kuchh bhī nahīñ hone kā idrāk bahut hai
ik bhūlī huī baat hai ik TuuTā huā ḳhvāb
ham ahl-e-mohabbat ko ye imlāk bahut hai
kuchh dar-badarī raas bahut aa.ī hai mujh ko
kuchh ḳhāna-ḳharāboñ meñ mirī dhaak bahut hai
parvāz ko par khol nahīñ paatā huuñ apne
aur dekhne meñ vus.at-e-aflāk bahut hai
kyā us se mulāqāt kā imkāñ bhī nahīñ ab
kyuuñ in dinoñ mailī tirī poshāk bahut hai
āñkhoñ meñ haiñ mahfūz tire ishq ke lamhāt
dariyā ko ḳhayāl-e-ḳhas-o-ḳhāshāk bahut hai
nādim hai bahut tū bhī 'jamāl' apne kiye par
aur dekh le vo aañkh bhī namnāk bahut hai
hone ki gawahi ke liye KHak bahut hai
ya kuchh bhi nahin hone ka idrak bahut hai
ek bhuli hui baat hai ek TuTa hua KHwab
hum ahl-e-mohabbat ko ye imlak bahut hai
kuchh dar-badari ras bahut aai hai mujh ko
kuchh KHana-KHarabon mein meri dhak bahut hai
parwaz ko par khol nahin pata hun apne
aur dekhne mein wusat-e-aflak bahut hai
kya us se mulaqat ka imkan bhi nahin ab
kyun in dinon maili teri poshak bahut hai
aankhon mein hain mahfuz tere ishq ke lamhat
dariya ko KHayal-e-KHas-o-KHashak bahut hai
nadim hai bahut tu bhi 'jamal' apne kiye par
aur dekh le wo aankh bhi namnak bahut hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 77)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.