hone ki ek jhalak si dikha kar chala gaya
hone kī ik jhalak sī dikhā kar chalā gayā
kholī thī ham ne aañkh ki manzar chalā gayā
kyā ḳhud ko dekhne kā ajab shauq thā ki vo
chup-chāp uTh ke sū-e-samundar chalā gayā
kin dā.eroñ meñ ghūmte haiñ ab ḳhabar nahīñ
kyuuñ haath se vo chaak sā chakkar chalā gayā
pahle qadam pe ḳhatm huā qissa-e-junūñ
pahlā qadam hī dasht barābar chalā gayā
ham bhī usī ke saath ga.e hosh se 'sa.īd'
lamha jo qaid-e-vaqt se bāhar chalā gayā
hone ki ek jhalak si dikha kar chala gaya
kholi thi hum ne aankh ki manzar chala gaya
kya KHud ko dekhne ka ajab shauq tha ki wo
chup-chap uTh ke su-e-samundar chala gaya
kin daeron mein ghumte hain ab KHabar nahin
kyun hath se wo chaak sa chakkar chala gaya
pahle qadam pe KHatm hua qissa-e-junun
pahla qadam hi dasht barabar chala gaya
hum bhi usi ke sath gae hosh se 'said'
lamha jo qaid-e-waqt se bahar chala gaya
- Book : Duniya Zade (Pg. 212)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Scheherzade (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.