hone ko jashn-e-fasl-e-bahaaran hue to kya
hone ko jashn-e-fasl-e-bahārāñ hue to kyā
do-chār phuul chāk-garebāñ hue to kyā
jab ābrū-e-bazm-e-mah-o-mehr luT chukī
palkoñ pe kuchh sitāre farozāñ hue to kyā
tā'bīr meñ mujhe ġham-e-insāñ to mil gayā
kuchh ḳhvāb sarf-e-gardish-e-daurāñ hue to kyā
sarshār-e-kaif zauq-e-numū hai chaman chaman
ahl-e-ḳhizāñ harīf-e-bahārāñ hue to kyā
tārīkī-e-shab-e-ġham-e-insāñ na miT sakī
ashkoñ se gaam gaam charāġhāñ hue to kyā
siine ke zaḳhm zaḳhm se phūTī haiñ koñpleñ
tārāj hasratoñ ke gulistāñ hue to kyā
jhukne se ābrū-e-jabīñ aur ghaT ga.ī
naqsh-e-sujūd laakh numāyāñ hue to kyā
hone ko jashn-e-fasl-e-bahaaran hue to kya
do-chaar phul chaak-gareban hue to kya
jab aabru-e-bazm-e-mah-o-mehr luT chuki
palkon pe kuchh sitare farozan hue to kya
ta'bir mein mujhe gham-e-insan to mil gaya
kuchh KHwab sarf-e-gardish-e-dauran hue to kya
sarshaar-e-kaif zauq-e-numu hai chaman chaman
ahl-e-KHizan harif-e-bahaaran hue to kya
tariki-e-shab-e-gham-e-insan na miT saki
ashkon se gam gam charaghan hue to kya
sine ke zaKHm zaKHm se phuTi hain konplen
taraj hasraton ke gulistan hue to kya
jhukne se aabru-e-jabin aur ghaT gai
naqsh-e-sujud lakh numayan hue to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.