hone ko to KHilqat mein teri honge jahan aur
hone ko to ḳhilqat meñ tirī hoñge jahāñ aur
par terā ye dar chhoḌ ke jā.ūñ maiñ kahāñ aur
ye dair se bad-zan vo gurezāñ hai haram se
jaise ki haqīqat ho yahāñ aur vahāñ aur
rah jaa.e na phir shikva-e-bedād kā imkāñ
siina jo huā chaak to kaT jaa.e ziyāñ aur
ham kaun haiñ kyā haiñ ye nahīñ jānte ḳhud bhī
ham sā bhī koī hogā bhalā hech-madāñ aur
taqlīd tabī.at ko gavārā nahīñ ai 'nūr'
chaltā huuñ banātā huā ḳhud apne nishāñ aur
hone ko to KHilqat mein teri honge jahan aur
par tera ye dar chhoD ke jaun main kahan aur
ye dair se bad-zan wo gurezan hai haram se
jaise ki haqiqat ho yahan aur wahan aur
rah jae na phir shikwa-e-bedad ka imkan
sina jo hua chaak to kaT jae ziyan aur
hum kaun hain kya hain ye nahin jaante KHud bhi
hum sa bhi koi hoga bhala hech-madan aur
taqlid tabiat ko gawara nahin ai 'nur'
chalta hun banata hua KHud apne nishan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.