hone lage hain raste raste, aapas ke Takraw bahut
hone lage haiñ raste raste, aapas ke Takrāv bahut
ek saath ke chalne vāloñ meñ bhī hai algāv bahut
bahke bahke se bādal haiñ kyā jaane ye jaa.eñ kidhar
badlī huī havāoñ kā hai un par aaj dabāv bahut
soch kā hai ye pher ki yaaro pech-o-ḳham kī duniyā meñ
DhūñD rahe ho aisā rasta jis meñ nahīñ ghumāv bahut
apne-āp meñ uljhī huī ik duniyā hai har shaḳhs yahāñ
suljhe hue zehnoñ meñ bhī haiñ chhupe hue uljhāv bahut
mere ahd ke insānoñ ko paḌh lenā koī khel nahīñ
uupar se hai mel-mohabbat, andar se hai khiñchāv bahut
hone lage hain raste raste, aapas ke Takraw bahut
ek sath ke chalne walon mein bhi hai algaw bahut
bahke bahke se baadal hain kya jaane ye jaen kidhar
badli hui hawaon ka hai un par aaj dabaw bahut
soch ka hai ye pher ki yaro pech-o-KHam ki duniya mein
DhunD rahe ho aisa rasta jis mein nahin ghumaw bahut
apne-ap mein uljhi hui ek duniya hai har shaKHs yahan
suljhe hue zehnon mein bhi hain chhupe hue uljhaw bahut
mere ahd ke insanon ko paDh lena koi khel nahin
upar se hai mel-mohabbat, andar se hai khinchaw bahut
- Book : (Beesvin Sadi Main) Maghrabi Bengal Ke urdu Shora (Pg. 246)
- Author : Mushtaq ahmed M.A
- Publication : Iqbal Ahmad And Baradars Sayed Suleh Len Kolkata (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.