hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale
hone lagtī hai dil-o-jāñ meñ jalan raat Dhale
jab bhī lau dete haiñ ḳhvāboñ ke badan raat Dhale
hañstī kaliyoñ ne to singār kiyā thā lekin
jal bujhā kyuuñ tire vā'doñ kā chaman raat Dhale
nuur hai dīda-e-dil meñ to zarā ġhaur se dekh
zaḳhm ke chāñd ko lagtā hai gahan raat Dhale
chāñdnī raat ke tābūt meñ rakh de us ko
dil ne pahnā hai añdheroñ kā kafan raat Dhale
Dhaltī jaatī hai nigāhoñ ke piyāloñ meñ sharāb
jab bhī do jismoñ kā hotā hai milan raat Dhale
gungunā uThtā hai tanhā.ī kā kangan raahī
jāgtī hai jūñhī yādoñ kī dulhan raat Dhale
hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale
jab bhi lau dete hain KHwabon ke badan raat Dhale
hansti kaliyon ne to singar kiya tha lekin
jal bujha kyun tere wa'don ka chaman raat Dhale
nur hai dida-e-dil mein to zara ghaur se dekh
zaKHm ke chand ko lagta hai gahan raat Dhale
chandni raat ke tabut mein rakh de us ko
dil ne pahna hai andheron ka kafan raat Dhale
Dhalti jati hai nigahon ke piyalon mein sharab
jab bhi do jismon ka hota hai milan raat Dhale
gunguna uThta hai tanhai ka kangan rahi
jagti hai junhi yaadon ki dulhan raat Dhale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.