hone se mere farq hi paDta tha bhala kya
hone se mire farq hī paḌtā thā bhalā kyā
maiñ aaj na jaagā to saverā na huā kyā
sab bhīgī ruteñ niiñd ke us paar haiñ shāyad
lagtī hai zarā aañkh to aatī hai havā kyā
ham khoj meñ jis kī haiñ pareshān azal se
bīmār kī āñkhoñ ne vo dar DhūñD liyā kyā
maqtūl ko bāñhoñ meñ liye baiThā rahūñ kyuuñ
is jurm se lenā hai use aur maza kyā
dīvār qafas kī ho ki ghar kī mujhe kyā farq
tafrīh ke sāmāñ hoñ mayassar to sazā kyā
aisā to kabhī raqs meñ be-ḳhud na havā maiñ
mai-ḳhāne ke māhaul meñ hotā hai nasha kyā
ye dhuup kī tezī ye sarāboñ kī sajāvaT
sahrā ne junūñ ko mire pahchān liyā kyā
hone se mere farq hi paDta tha bhala kya
main aaj na jaga to sawera na hua kya
sab bhigi ruten nind ke us par hain shayad
lagti hai zara aankh to aati hai hawa kya
hum khoj mein jis ki hain pareshan azal se
bimar ki aankhon ne wo dar DhunD liya kya
maqtul ko banhon mein liye baiTha rahun kyun
is jurm se lena hai use aur maza kya
diwar qafas ki ho ki ghar ki mujhe kya farq
tafrih ke saman hon mayassar to saza kya
aisa to kabhi raqs mein be-KHud na hawa main
mai-KHane ke mahaul mein hota hai nasha kya
ye dhup ki tezi ye sarabon ki sajawaT
sahra ne junun ko mere pahchan liya kya
- Book : Yahan Tak Roshni Aati Kahan Thi (Pg. 31)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.