honge dil-o-jigar mein nishan dekh lijiye
hoñge dil-o-jigar meñ nishāñ dekh lījiye
tīr-e-nazar paḌe haiñ kahāñ dekh lījiye
bāġh-e-jināñ meñ lutf-e-aziyyat bhalā kahāñ
duniyā meñ sair-e-jaur-e-butāñ dekh lījiye
aa.heñ nikal rahī haiñ dil-e-dard-nāk se
fauj-e-ġham-o-alam kā nishāñ dekh lījiye
parde hī se na aa.eñ vo bāhar to phir unheñ
kis tarah dekh liije kahāñ dekh lījiye
hindostāñ se chaliye sū-e-karbalā 'nasīm'
vaañ chal ke sair-e-bāġh-e-jināñ dekh lījiye
honge dil-o-jigar mein nishan dekh lijiye
tir-e-nazar paDe hain kahan dekh lijiye
bagh-e-jinan mein lutf-e-aziyyat bhala kahan
duniya mein sair-e-jaur-e-butan dekh lijiye
aahen nikal rahi hain dil-e-dard-nak se
fauj-e-gham-o-alam ka nishan dekh lijiye
parde hi se na aaen wo bahar to phir unhen
kis tarah dekh lije kahan dekh lijiye
hindostan se chaliye su-e-karbala 'nasim'
wan chal ke sair-e-bagh-e-jinan dekh lijiye
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 156)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.