honT ruKHsar aur jabin KHamosh
hoñT ruḳhsār aur jabīñ ḳhāmosh
koī hotā hai yuuñ kahīñ ḳhāmosh
bad-gumānī ne bad-tamīzī kī
ik matānat se thā yaqīñ ḳhāmosh
bolne lag ga.e dar-o-dīvār
jab musalsal rahā makīñ ḳhāmosh
ek bādal machā rahā thā shor
us ko sun kar rahī zamīñ ḳhāmosh
varna maiñ bolne hī vaalā thā
ḳhāmushī ne kahā nahīñ ḳhāmosh
us ke aane kī der thī sāhib
sab ke sab ho ga.e hasīñ ḳhāmosh
honT ruKHsar aur jabin KHamosh
koi hota hai yun kahin KHamosh
bad-gumani ne bad-tamizi ki
ek matanat se tha yaqin KHamosh
bolne lag gae dar-o-diwar
jab musalsal raha makin KHamosh
ek baadal macha raha tha shor
us ko sun kar rahi zamin KHamosh
warna main bolne hi wala tha
KHamushi ne kaha nahin KHamosh
us ke aane ki der thi sahib
sab ke sab ho gae hasin KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.