honTon ki hansi dard ka darman to nahin hai
hoñToñ kī hañsī dard kā darmāñ to nahīñ hai
merī hī tarah tū bhī pareshāñ to nahīñ hai
maiñ tujh ko kabhī ḳhud se alag kar nahīñ saktā
tū zid hai mirī tū koī armāñ to nahīñ hai
kyā jāniye kyoñ dhuup nikal aa.ī achānak
jo sar pe hai vo abr-e-gurezāñ to nahīñ hai
ai mujh pe umaD aa.e hue chāñd batā de
ye chāñdnī ik raat kī mehmāñ to nahīñ hai
is baar tujhe saiñt ke siine meñ rakhūñgā
tū dil hai tū ashk-e-sar-e-mizhgāñ to nahīñ hai
har ishq salīqe se kiyā ham ne bhī 'ḳhālid'
majnūñ kī tarah chāk-garebāñ to nahīñ hai
honTon ki hansi dard ka darman to nahin hai
meri hi tarah tu bhi pareshan to nahin hai
main tujh ko kabhi KHud se alag kar nahin sakta
tu zid hai meri tu koi arman to nahin hai
kya jaaniye kyon dhup nikal aai achanak
jo sar pe hai wo abr-e-gurezan to nahin hai
ai mujh pe umaD aae hue chand bata de
ye chandni ek raat ki mehman to nahin hai
is bar tujhe saint ke sine mein rakhunga
tu dil hai tu ashk-e-sar-e-mizhgan to nahin hai
har ishq saliqe se kiya hum ne bhi 'KHalid'
majnun ki tarah chaak-gareban to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.