honTon pe agarche mere muskan saji hai
hoñToñ pe agarche mire muskān sajī hai
ab bhī mirī palkoñ pe to halkī sī namī hai
aa kar koī baiThā hai ḳhayāloñ meñ jo is dam
āñkhoñ kī ye barsāt zarā der rukī hai
maiñ ḳhud huuñ kahīñ aur dil-e-ġham-dīda kahīñ aur
jazbāt meñ ehsās meñ ik barf jamī hai
ḳhvāboñ ke darīche se jo jhāñkā hai kisī ne
dil ne kahīñ siine meñ koī aah bharī hai
tasvīr-e-ġham-o-dard banī jaatī huuñ ab to
kaisī mire mālik mirī taqdīr likhī hai
dil dard-e-judā.ī se taḌaptā hai har ik pal
huuñ bhiiḌ meñ logoñ ke magar terī kamī hai
dil jaltā hai kyūñkar na karūñ aah aur zaarī
tūfān hai siine meñ ik halchal sī machī hai
lagtā hai ki jaltā hai in āñkhoñ meñ koī ḳhvāb
uThtā hai dhuāñ jaise kahīñ aag lagī hai
ik pal kī judā.ī mujhe manzūr nahīñ ab
himmat nahīñ jiine kī baḌī saḳht ghaḌī hai
galiyoñ meñ khaḌe ho ke tirī raah takūñ maiñ
zanjīr tire hijr kī pairoñ meñ paḌī hai
baaqī nahīñ jiine kī tamannā mire dil meñ
aa dekh le 'ra.anā' tirī kis ġham meñ ghulī hai
honTon pe agarche mere muskan saji hai
ab bhi meri palkon pe to halki si nami hai
aa kar koi baiTha hai KHayalon mein jo is dam
aankhon ki ye barsat zara der ruki hai
main KHud hun kahin aur dil-e-gham-dida kahin aur
jazbaat mein ehsas mein ek barf jami hai
KHwabon ke dariche se jo jhanka hai kisi ne
dil ne kahin sine mein koi aah bhari hai
taswir-e-gham-o-dard bani jati hun ab to
kaisi mere malik meri taqdir likhi hai
dil dard-e-judai se taDapta hai har ek pal
hun bhiD mein logon ke magar teri kami hai
dil jalta hai kyunkar na karun aah aur zari
tufan hai sine mein ek halchal si machi hai
lagta hai ki jalta hai in aankhon mein koi KHwab
uThta hai dhuan jaise kahin aag lagi hai
ek pal ki judai mujhe manzur nahin ab
himmat nahin jine ki baDi saKHt ghaDi hai
galiyon mein khaDe ho ke teri rah takun main
zanjir tere hijr ki pairon mein paDi hai
baqi nahin jine ki tamanna mere dil mein
aa dekh le 'rana' teri kis gham mein ghuli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.