honTon pe bhule se kabhi bhi tera nam na aaega
hoñToñ pe bhūle se kabhī bhī terā naam na aa.egā
merī rusvā.ī kā jā tujh par ilzām na aa.egā
ab ke khule hī rah jā.eñge āshāoñ ke darvāze
pathrā jā.eñgī sab āñkheñ lekin shyām na aa.egā
ho jā.egā ḳhushk achānak ik din peḌ ta.alluq kā
ḳhālis ḳhuun kā āḳhirī qatra bhī kuchh kaam na aa.egā
shauq se tum ilzām tarāsho shahr-badar kar do lekin
phir dobāra is bastī meñ ye badnām na aa.egā
vāpas hote har panchhī ke hoñToñ par ik nauha hai
aah samundar paar se ab koī paiġhām na aa.egā
bāhar barfoñ kī yūrish hai andar sho.aloñ kī yalġhār
'parvez' apnī zaat ko ab shāyad ārām na aa.egā
honTon pe bhule se kabhi bhi tera nam na aaega
meri ruswai ka ja tujh par ilzam na aaega
ab ke khule hi rah jaenge aashaon ke darwaze
pathra jaengi sab aankhen lekin shyam na aaega
ho jaega KHushk achanak ek din peD talluq ka
KHalis KHun ka aaKHiri qatra bhi kuchh kaam na aaega
shauq se tum ilzam tarasho shahr-badar kar do lekin
phir dobara is basti mein ye badnam na aaega
wapas hote har panchhi ke honTon par ek nauha hai
aah samundar par se ab koi paigham na aaega
bahar barfon ki yurish hai andar shoalon ki yalghaar
'parwez' apni zat ko ab shayad aaram na aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.