honTon pe dil ki baat wo lae mere liye
hoñToñ pe dil kī baat vo laa.e mire liye
lekin yuuñ na sarāb bichhā.e mire liye
de do ba-sad ḳhulūs sitāre unheñ ka.ī
jugnū liye jo haath meñ aa.e mire liye
tum ko nahīñ ḳhabar ki mahakne lagā hai dil
kāġhaz pe us ne phuul banā.e mire liye
maiñ ne bhī zaḳhm zaḳhm pe hañsne kī Thaan lī
kāñTe adū ne jab se bichhā.e mire liye
ye hijr bhī savāb se kam to nahīñ 'naved'
maiñ is ke vāste vo kamā.e mire liye
honTon pe dil ki baat wo lae mere liye
lekin yun na sarab bichhae mere liye
de do ba-sad KHulus sitare unhen kai
jugnu liye jo hath mein aae mere liye
tum ko nahin KHabar ki mahakne laga hai dil
kaghaz pe us ne phul banae mere liye
main ne bhi zaKHm zaKHm pe hansne ki Than li
kanTe adu ne jab se bichhae mere liye
ye hijr bhi sawab se kam to nahin 'nawed'
main is ke waste wo kamae mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.