honTon pe suKHan aaankhon mein nam bhi nahin ab ke
hoñToñ pe suḳhan ā.ankhoñ meñ nam bhī nahīñ ab ke
is tarah vo bichhḌā hai ki ġham bhī nahīñ ab ke
ḳhud ko dil-e-sarkash ne bhī rakkhā na kahīñ kā
jiine pe razā-mand to ham bhī nahīñ ab ke
tanhā haiñ to darpesh haiñ ḳhatrāt-e-safar aur
yuuñ be-sar-o-sāmāñ yahāñ kam bhī nahīñ ab ke
kyā kahiye ki jo muñh meñ zabāñ bhī nahīñ apnī
afsos ki hāthoñ meñ qalam bhī nahīñ ab ke
be-rahm judā.ī kā sabab bhī nahīñ ma.alūm
ik-gūna ta.alluq kā bharam bhī nahīñ ab ke
kyā jaane 'mujībī' dil-e-qātil meñ hai kyā aaj
mahzar meñ koī jurm raqam bhī nahīñ ab ke
honTon pe suKHan aaankhon mein nam bhi nahin ab ke
is tarah wo bichhDa hai ki gham bhi nahin ab ke
KHud ko dil-e-sarkash ne bhi rakkha na kahin ka
jine pe raza-mand to hum bhi nahin ab ke
tanha hain to darpesh hain KHatraat-e-safar aur
yun be-sar-o-saman yahan kam bhi nahin ab ke
kya kahiye ki jo munh mein zaban bhi nahin apni
afsos ki hathon mein qalam bhi nahin ab ke
be-rahm judai ka sabab bhi nahin malum
ik-guna talluq ka bharam bhi nahin ab ke
kya jaane 'mujibi' dil-e-qatil mein hai kya aaj
mahzar mein koi jurm raqam bhi nahin ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.